Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari aankhon mein rahta hai KHatm hota nahin

Iqbal Ejaz Baig

hamari aankhon mein rahta hai KHatm hota nahin

Iqbal Ejaz Baig

MORE BYIqbal Ejaz Baig

    hamārī āñkhoñ meñ rahtā hai ḳhatm hotā nahīñ

    jo ham ne vāqi.a dekhā hai ḳhatm hotā nahīñ

    har ik zamāne meñ ye log maare jaate haiñ

    ye kaun logoñ nauha hai ḳhatm hotā nahīñ

    tamāsha dekhne vāloñ āñkheñ jaatī rahīñ

    magar ye kaisā tamāsha hai ḳhatm hotā nahīñ

    pahuñchne vaalā huā kartā hai koī na koī

    ik intizār arsa hai ḳhatm hotā nahīñ

    na jaane kitnī rātoñ ke kaam aa gayā hai

    baḌā gahrā añdherā hai ḳhatm hotā nahīñ

    do-chār būḌhe bhī aa baiThte haiñ laḌkoñ meñ

    vo jo purānā zamāna hai ḳhatm hotā nahīñ

    hamari aankhon mein rahta hai KHatm hota nahin

    jo hum ne waqia dekha hai KHatm hota nahin

    har ek zamane mein ye log mare jate hain

    ye kaun logon ka nauha hai KHatm hota nahin

    tamasha dekhne walon ki aankhen jati rahin

    magar ye kaisa tamasha hai KHatm hota nahin

    pahunchne wala hua karta hai koi na koi

    ek intizar ka arsa hai KHatm hota nahin

    na jaane kitni hi raaton ke kaam aa gaya hai

    baDa hi gahra andhera hai KHatm hota nahin

    do-chaar buDhe bhi aa baiThte hain laDkon mein

    wo jo purana zamana hai KHatm hota nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now