Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari jagti aankhon mein KHwab sa kya tha

Bilqis Zafirul Hasan

hamari jagti aankhon mein KHwab sa kya tha

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    hamārī jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb kyā thā

    ghanerī shab meñ ugā āftāb kyā thā

    kahīñ huī to thī halchal kahīñ pe gahre meñ

    bigaḌ bigaḌ ke vo bantā habāb kyā thā

    tamām jism meñ hotī haiñ larzisheñ kyā kyā

    savād-e-jāñ meñ ye bajtā rabāb kyā thā

    hamārī pyaas pe barsā añdhere ujiyāle

    vo kuchh ghaTāoñ kuchh māhtāb kyā thā

    zarā der bhī ruktā to kuchh patā chaltā

    vo rang thā ki thī ḳhushbū sahāb kyā thā

    ye tishnagī safar kaT gayā hai jis ke tufail

    vo dasht dasht chhalaktā sarāb kyā thā

    tamām 'umr khapāyā hai jis meñ sar 'bilqīs'

    bhalā vo be-sar-o-pā kitāb kyā thā

    hamari jagti aankhon mein KHwab sa kya tha

    ghaneri shab mein uga aaftab sa kya tha

    kahin hui to thi halchal kahin pe gahre mein

    bigaD bigaD ke wo banta habab sa kya tha

    tamam jism mein hoti hain larzishen kya kya

    sawad-e-jaan mein ye bajta rabab sa kya tha

    hamari pyas pe barsa andhere ujiyale

    wo kuchh ghaTaon sa kuchh mahtab sa kya tha

    zara si der bhi rukta to kuchh pata chalta

    wo rang tha ki thi KHushbu sahab sa kya tha

    ye tishnagi ka safar kaT gaya hai jis ke tufail

    wo dasht dasht chhalakta sarab sa kya tha

    tamam 'umr khapaya hai jis mein sar 'bilqis'

    bhala wo be-sar-o-pa si kitab sa kya tha

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    hamari jaagti ankhon mein khwab sa kya tha Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now