hamari jaan par aai hui hai
hamārī jaan par aa.ī huī hai
baḌī zālim ye tanhā.ī huī hai
hamāre ḳhvāb paglā.e hue haiñ
hamārī niiñd baurā.ī huī hai
ḳhushī ke rang phīke paḌ chuke haiñ
udāsī is qadar chhā.ī huī hai
ki ham duniyā se uktā.e hue haiñ
ki duniyā ham se uktā.ī huī hai
azal ke roz se ik dilrubā ne
badan meñ aag dahkā.ī huī hai
kisī ko bhūlne kī koshishoñ meñ
kisī kī yaad Takrā.ī huī hai
mohabbat ke nashe meñ hai ye laḌkā
vo laḌkī hai ki ghabrā.ī huī hai
hamari jaan par aai hui hai
baDi zalim ye tanhai hui hai
hamare KHwab paglae hue hain
hamari nind baurai hui hai
KHushi ke rang phike paD chuke hain
udasi is qadar chhai hui hai
ki hum duniya se uktae hue hain
ki duniya hum se uktai hui hai
azal ke roz se ek dilruba ne
badan mein aag dahkai hui hai
kisi ko bhulne ki koshishon mein
kisi ki yaad Takrai hui hai
mohabbat ke nashe mein hai ye laDka
wo laDki hai ki ghabrai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.