Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari nind koi so gaya hai kya

Qamar Siddiqi

hamari nind koi so gaya hai kya

Qamar Siddiqi

MORE BYQamar Siddiqi

    hamārī niiñd koī so gayā hai kyā

    jo thā ḳhvāboñ zevar kho gayā hai kyā

    sabhī chehroñ pe hai kyoñ bad-havāsī ab

    sabhī jaise yaañ kuchh kho gayā hai kyā

    koī fariyād ab suntā nahīñ vo bhī

    kahīñ par chief justice ho gayā hai kyā

    ye kyoñ tālāb dariyā aur samundar haiñ

    yahāñ par koī aa kar ro gayā hai kyā

    'qamar' aa.ine meñ sirf chehra hai

    sarāpā bhiiḌ meñ ab kho gayā hai kyā

    yuuñ shādāb chehra ho nahīñ saktā

    chhalak kar ashk chehra dho gayā hai kyā

    uge haiñ chār-sū nafrat ke paude kyoñ

    diloñ meñ zahr koī bo gayā hai kyā

    hamari nind koi so gaya hai kya

    jo tha KHwabon ka zewar kho gaya hai kya

    sabhi chehron pe hai kyon bad-hawasi ab

    sabhi ka jaise yan kuchh kho gaya hai kya

    koi fariyaad ab sunta nahin wo bhi

    kahin par chief justice ho gaya hai kya

    ye kyon talab dariya aur samundar hain

    yahan par koi aa kar ro gaya hai kya

    'qamar' ka aaine mein sirf chehra hai

    sarapa bhiD mein ab kho gaya hai kya

    yun hi shadab chehra ho nahin sakta

    chhalak kar ashk chehra dho gaya hai kya

    uge hain chaar-su nafrat ke paude kyon

    dilon mein zahr koi bo gaya hai kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now