Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamdam-e-ba-KHabar meri tanhaiyan

Daood Kaashmiri

hamdam-e-ba-KHabar meri tanhaiyan

Daood Kaashmiri

MORE BYDaood Kaashmiri

    hamdam-e-bā-ḳhabar merī tanhā.iyāñ

    monis-e-mo'atabar merī rusvā.iyāñ

    tañgī-e-arz mujh ko shikva hai yuuñ

    āsmānoñ dekhī haiñ pahnā.iyāñ

    meñDakoñ tarah uchhle tālāb meñ

    nāpte kyā samundar gahrā.iyāñ

    vo jo uzv-e-badan tarah saath the

    yaad haiñ aaj bhī un parchhā.iyāñ

    dānish-o-aql gumrāh kartī rahī

    ziist khotī rahī kitnī barnā.iyāñ

    hamdam-e-ba-KHabar meri tanhaiyan

    monis-e-mo'atabar meri ruswaiyan

    tangi-e-arz ka mujh ko shikwa hai yun

    aasmanon ki dekhi hain pahnaiyan

    meinDakon ki tarah uchhle talab mein

    napte kya samundar ki gahraiyan

    wo jo uzw-e-badan ki tarah sath the

    yaad hain aaj bhi un ki parchhaiyan

    danish-o-aql gumrah karti rahi

    zist khoti rahi kitni barnaiyan

    Source:

    Shair (Pg. 31)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now