Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamdardiyan kisi se kisi se dua mili

Darshan Dayal Parwaz

hamdardiyan kisi se kisi se dua mili

Darshan Dayal Parwaz

MORE BYDarshan Dayal Parwaz

    hamdardiyāñ kisī se kisī se duā milī

    yā-rab sila milā hai mujhe sazā milī

    us aadmī ko jāniye sab kuchh mil gayā

    jis aadmī ko daulat-e-sharm-o-hayā milī

    kuchh logoñ shikāyateñ hoñgī bajā magar

    ham ko to dostī meñ hamesha vafā milī

    jaa.eñ ḳhum ke ḳhum jo pīr-e-muġhāñ unheñ

    paimānoñ meñ sharāb milī bhī to kyā milī

    uḌne se rok leñ mirī kamzoriyāñ mujhe

    be-shak hazār baar muāfiq havā milī

    kis kaam vo aadmī is daur meñ jiye

    andāz-e-sūfiyāna nazar pārsā milī

    vo shaḳhs mo'atabar huā ajmer jo gayā

    nadiyā huī nihāl jo gangā meñ milī

    'parvāz' ḳhush-nasīb hai vo aadmī jise

    rahbar milā durust nasīhat bajā milī

    hamdardiyan kisi se kisi se dua mili

    ya-rab sila mila hai mujhe ya saza mili

    us aadmi ko jaaniye sab kuchh hi mil gaya

    jis aadmi ko daulat-e-sharm-o-haya mili

    kuchh logon ki shikayaten hongi baja magar

    hum ko to dosti mein hamesha wafa mili

    pi jaen KHum ke KHum hi jo pir-e-mughan unhen

    paimanon mein sharab mili bhi to kya mili

    uDne se rok len meri kamzoriyan mujhe

    be-shak hazar bar muafiq hawa mili

    kis kaam ka wo aadmi is daur mein jiye

    andaz-e-sufiyana nazar parsa mili

    wo shaKHs mo'atabar hua ajmer jo gaya

    nadiya hui nihaal jo ganga mein ja mili

    'parwaz' KHush-nasib hai wo aadmi jise

    rahbar mila durust nasihat baja mili

    Source:

    Walwale (Pg. 41)

    • Author: Darshan Dayal Parwaz
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now