Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein banate hue KHud bigaD gaya hai KHuda

Farhat Ehsas

hamein banate hue KHud bigaD gaya hai KHuda

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    hameñ banāte hue ḳhud bigaḌ gayā hai ḳhudā

    'ajīb logoñ sohbat meñ paḌ gayā hai ḳhudā

    chalī vo shiddat-e-īmān havā-e-ḳhizāñ

    hamārī shāḳh-e-'aqīdat se jhaḌ gayā hai ḳhudā

    rafū kare bhī mohabbat to kis jagah āḳhir

    ki sar se paañv talak udhaḌ gayā hai ḳhudā

    yahāñ zamīn se ham bhī ukhaḌ ke rah ga.e haiñ

    vahāñ jo apne falak par ujaḌ gayā hai ḳhudā

    ġhazal nahīñ hai ye hai bandagī qabr 'ehsās'

    so ḳhāk-e-bandagī meñ aa ke gaḌ gayā hai ḳhudā

    hamein banate hue KHud bigaD gaya hai KHuda

    'ajib logon ki sohbat mein paD gaya hai KHuda

    chali wo shiddat-e-iman ki hawa-e-KHizan

    hamari shaKH-e-'aqidat se jhaD gaya hai KHuda

    rafu kare bhi mohabbat to kis jagah aaKHir

    ki sar se panw talak hi udhaD gaya hai KHuda

    yahan zamin se hum bhi ukhaD ke rah gae hain

    wahan jo apne falak par ujaD gaya hai KHuda

    ghazal nahin hai ye hai bandagi ki qabr 'ehsas'

    so KHak-e-bandagi mein aa ke gaD gaya hai KHuda

    Source:

    Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 34)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now