Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein bhi aa gaya aaKHir kisi gham ko chhupa dena

Naghmana Kanwal

hamein bhi aa gaya aaKHir kisi gham ko chhupa dena

Naghmana Kanwal

MORE BYNaghmana Kanwal

    hameñ bhī aa gayā āḳhir kisī ġham ko chhupā denā

    koī dil agar pūchhe zarā muskurā denā

    maiñ apne dil meñ rakhtī huuñ mohabbat karne vāloñ ko

    kabhī sīkhā nahīñ maiñ ne nagīnoñ ko gañvā denā

    agar ḳhālī huuñ donoñ haath bhī phailā nahīñ saktī

    ki jo ḳhud savālī ho mujhe phir us ne kyā denā

    kisī pyaas ne samjhā diyā hai zindagī karnā

    kabhī zaḳhmoñ pe lab rakhnā kabhī aañsū bahā denā

    kisī yaad dīpak agar bujhne lage jānam

    mire so.e hue zaḳhmoñ ko Thokar se jagā denā

    hamāre pyaar sūraj agar ab Duub bhī jaa.e

    mire hisse kirnoñ ko kisī dil meñ chhupā denā

    hamein bhi aa gaya aaKHir kisi gham ko chhupa dena

    koi dil ki agar puchhe zara sa muskura dena

    main apne dil mein rakhti hun mohabbat karne walon ko

    kabhi sikha nahin main ne naginon ko ganwa dena

    agar KHali hun donon hath bhi phaila nahin sakti

    ki jo KHud hi sawali ho mujhe phir us ne kya dena

    kisi ki pyas ne samjha diya hai zindagi karna

    kabhi zaKHmon pe lab rakhna kabhi aansu baha dena

    kisi ki yaad ka dipak agar bujhne lage jaanam

    mere soe hue zaKHmon ko Thokar se jaga dena

    hamare pyar ka suraj agar ab Dub bhi jae

    mere hisse ki kirnon ko kisi dil mein chhupa dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now