Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut

Zafar Iqbal

hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    hameñ bhī matlab-o-ma.anī justujū hai bahut

    harīf-e-harf magar ab ke dū-ba-dū hai bahut

    vaqār ghar tavāzo par nahīñ mauqūf

    ba-faiz-e-shā.irī bāhar bhī aabrū hai bahut

    phaTe purāne diloñ ḳhabar nahīñ letā

    agarche jāntā hai hājat-e-rafū hai bahut

    badan saarā lahū khiñch ke aa gayā ruḳh par

    vo ek bosa hameñ de ke surḳh-rū hai bahut

    idhar udhar yuuñ muñh mārte bhī haiñ lekin

    ye mānte bhī haiñ dil se ki ham ko hai bahut

    ab us diid mohabbat nahīñ zarūrat hai

    ki us se mil ke bichhaḌne aarzū hai bahut

    yahī hai be-sar-o-pā baat kahne mauqa.a

    patā chalegā kise shor chār-sū hai bahut

    ye haal hai to badan ko bachā.iye kab tak

    sadā meñ dhuup bahut hai lahū meñ hai bahut

    yahī hai fikr kahīñ maan na jaa.eñ 'zafar'

    hamāre mojaza-e-fan pe guftugū hai bahut

    hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut

    harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut

    waqar ghar ki tawazo hi par nahin mauquf

    ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut

    phaTe purane dilon ki KHabar nahin leta

    agarche jaanta hai hajat-e-rafu hai bahut

    badan ka sara lahu khinch ke aa gaya ruKH par

    wo ek bosa hamein de ke surKH-ru hai bahut

    idhar udhar yun hi munh marte bhi hain lekin

    ye mante bhi hain dil se ki hum ko tu hai bahut

    ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai

    ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut

    yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqa

    pata chalega kise shor chaar-su hai bahut

    ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak

    sada mein dhup bahut hai lahu mein lu hai bahut

    yahi hai fikr kahin man hi na jaen 'zafar'

    hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now