Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila

Sajjad Baqar Rizvi

hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    hameñ chaar samt dauḌ meñ vahī gard-e-bād-e-sadā milā

    bane apnī zaat meñ guuñj ham na ḳhudī milī na ḳhudā milā

    kabhī shahr shahr ḳhirad phirī kabhī dasht dasht junūñ gayā

    mirī zindagī mujhe kuchh batā tujhe kyā milā mujhe kyā milā

    use DhūñDte the jo kū-ba-kū vo safar gard meñ aT ga.e

    kise rāh-e-nik.hat-e-gul milī kise naqsh-e-pā-e-sabā milā

    sar-e-sat.h-e-reg likhī huī koī dāstān-e-junūñ milī

    sar-e-lauh-e-āb banā huā koī naqsh-e-kār-e-vafā milā

    kise haal apnā sunā.eñ ham kise shauq apnā batā.eñ ham

    koī ham-safar hai zamīn koī ham-rikāb-e-havā milā

    kabhī koī aañkh to bhīgtī kabhī koī dil to pasījtā

    mire shauq-e-tāza-navā.ī ko ye navā-garī salā milā

    mirī band aañkh pe hue ka.ī dar tilism-e-ḳhayāl ke

    mujhe niiñd aa.e to kis tarah mujhe ḳhvāb-e-ahd-fazā milā

    maiñ shajar huuñ mausam-e-dard yahī rut hai mere liye sadā

    kabhī shāḳh shāḳh harī milī kabhī barg barg judā milā

    yahī raushnī mire haath hai yahī tāzgī mire saath hai

    kabhī koī daaġh chamak uThā kabhī koī zaḳhm nayā milā

    maiñ chalā thā shahr raah se magar apnī zaat meñ gum huā

    mujhe 'bāqar' apnī talāsh thī mujhe aaj apnā patā milā

    hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila

    bane apni zat mein gunj hum na KHudi mili na KHuda mila

    kabhi shahr shahr KHirad phiri kabhi dasht dasht junun gaya

    meri zindagi mujhe kuchh bata tujhe kya mila mujhe kya mila

    use DhunDte the jo ku-ba-ku wo safar ki gard mein aT gae

    kise rah-e-nikhat-e-gul mili kise naqsh-e-pa-e-saba mila

    sar-e-sath-e-reg likhi hui koi dastan-e-junun mili

    sar-e-lauh-e-ab bana hua koi naqsh-e-kar-e-wafa mila

    kise haal apna sunaen hum kise shauq apna bataen hum

    koi ham-safar hai zamin ka koi ham-rikab-e-hawa mila

    kabhi koi aankh to bhigti kabhi koi dil to pasijta

    mere shauq-e-taza-nawai ko ye nawa-gari ka sala mila

    meri band aankh pe wa hue kai dar tilism-e-KHayal ke

    mujhe nind aae to kis tarah mujhe KHwab-e-ahd-faza mila

    main shajar hun mausam-e-dard ka yahi rut hai mere liye sada

    kabhi shaKH shaKH hari mili kabhi barg barg juda mila

    yahi raushni mere hath hai yahi tazgi mere sath hai

    kabhi koi dagh chamak uTha kabhi koi zaKHm naya mila

    main chala tha shahr ki rah se magar apni zat mein gum hua

    mujhe 'baqar' apni talash thi mujhe aaj apna pata mila

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 229)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now