Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein jab apna taaruf karana paDta hai

Farhat Ehsas

hamein jab apna taaruf karana paDta hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    hameñ jab apnā ta.āruf karānā paḌtā hai

    na jaane kitne dukhoñ ko dabānā paḌtā hai

    bahut se hañste huoñ ko lagā ke rone par

    bahut se rote ho.uuñ ko hañsānā paḌtā hai

    kisī ko niiñd na aatī ho raushnī meñ agar

    to ḳhud charāġh-e-mohabbat bujhānā paḌtā hai

    kisī ke qurb ḳhvāhish meñ yuuñ bhī hotā hai

    ki umr-bhar ke liye duur jaanā paḌtā hai

    ġhazāl-e-husn ko ghar chāhiye par us ke liye

    ḳhud apne aap ko sahrā banānā paḌtā hai

    tum is taraf se jo guzro to itnā yaad rahe

    ki is navāh meñ ham divāna paḌtā hai

    kisī sadā pe bhī jaate nahīñ miyāñ 'ehsās'

    par āñsuoñ ke bulāve pe jaanā paḌtā hai

    ab aa rahā ho koī husn us tasavvuf se

    to ham ko halqa-e-bai.at baḌhānā paḌtā hai

    ḳhudā hai qādir-e-mutlaq ye baat khultī hai tab

    jab us se kaam koī kāfirāna paḌtā hai

    bahut ziyāda haiñ ḳhatre badan mahfil meñ

    par apnī ek mahfil hai jaanā paḌtā hai

    hamāre paas yahī shā.irī sikka hai

    ulaT-palaT ke isī ko chalānā paḌtā hai

    ajiib tarz-e-taġhazzul hai ye miyāñ 'ehsās'

    ki jism-o-rūh ko ik saath gaanā paḌtā hai

    hamein jab apna taaruf karana paDta hai

    na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai

    bahut se hanste huon ko laga ke rone par

    bahut se rote houn ko hansana paDta hai

    kisi ko nind na aati ho raushni mein agar

    to KHud charagh-e-mohabbat bujhana paDta hai

    kisi ke qurb ki KHwahish mein yun bhi hota hai

    ki umr-bhar ke liye dur jaana paDta hai

    ghazal-e-husn ko ghar chahiye par us ke liye

    KHud apne aap ko sahra banana paDta hai

    tum is taraf se jo guzro to itna yaad rahe

    ki is nawah mein hum sa diwana paDta hai

    kisi sada pe bhi jate nahin miyan 'ehsas'

    par aansuon ke bulawe pe jaana paDta hai

    ab aa raha ho koi husn us tasawwuf se

    to hum ko halqa-e-baiat baDhana paDta hai

    KHuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab

    jab us se kaam koi kafirana paDta hai

    bahut ziyaada hain KHatre badan ki mahfil mein

    par apni ek hi mahfil hai jaana paDta hai

    hamare pas yahi shairi ka sikka hai

    ulaT-palaT ke isi ko chalana paDta hai

    ajib tarz-e-taghazzul hai ye miyan 'ehsas'

    ki jism-o-ruh ko ek sath gana paDta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now