hamein kuchh gardish-e-ayyam se shikwa nahin hai
hameñ kuchh gardish-e-ayyām se shikvā nahīñ hai
magar ye bhī haqīqat hai ki jī achchhā nahīñ hai
bhalā kis ko dikhā.eñ jā ke dil ke aable ham
sabhī jaldī meñ haiñ koī zarā ruktā nahīñ hai
sabhī ne talḳhiyoñ kī gard is chehre pe mal dī
aur us par ye shikāyat bhī ki ab hañstā nahīñ hai
na pariyāñ haiñ na shahzāda na lambī niiñd is meñ
hamārī āp-bītī hai koī qissa nahīñ hai
'abas shahr-e-bayābāñ meñ ye bāteñ chheḌ baiThe
yahāñ dil kī kahānī ab koī suntā nahīñ hai
bahut hī jān-levā hai ye hastī kā mu'amma
nikal jaane kā bhī lekin koī rasta nahīñ hai
sunā karte the ro ro kar guzar jaatī haiñ rāteñ
magar is raat kā koī sirā dikhtā nahīñ hai
hamein kuchh gardish-e-ayyam se shikwa nahin hai
magar ye bhi haqiqat hai ki ji achchha nahin hai
bhala kis ko dikhaen ja ke dil ke aable hum
sabhi jaldi mein hain koi zara rukta nahin hai
sabhi ne talKHiyon ki gard is chehre pe mal di
aur us par ye shikayat bhi ki ab hansta nahin hai
na pariyan hain na shahzada na lambi nind is mein
hamari aap-biti hai koi qissa nahin hai
'abas shahr-e-bayaban mein ye baaten chheD baiThe
yahan dil ki kahani ab koi sunta nahin hai
bahut hi jaan-lewa hai ye hasti ka mu'amma
nikal jaane ka bhi lekin koi rasta nahin hai
suna karte the ro ro kar guzar jati hain raaten
magar is raat ka koi sira dikhta nahin hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 30)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.