Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na KHayal kar

Athar Ziai

hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na KHayal kar

Athar Ziai

MORE BYAthar Ziai

    hameñ mausamoñ shu.ūr hai hameñ nā-samajh na ḳhayāl kar

    naved-e-fasl-e-bahār de na lahū fazā meñ uchhāl kar

    kabhī apne tā.ir-e-shauq ko na asīr-e-dām-e-ḳhayāl kar

    kabhī guftugū-e-firāq kar kabhī justujū-e-visāl kar

    na ḳhirad ko sarf-e-nashāt kar na junūñ ko vaqf-e-malāl kar

    koī sehr-kār-e-hunar dikhā koī sa.ī-e-kasb-e-kamāl kar

    na hikāyat-e-shab-o-roz kah na shikāyat-e-mah-o-sāl kar

    na kisī ko vāqif-e-dard kar na kisī ko shāmil-e-hāl kar

    sar-e-bazm ho jo suḳhan-sarā kahe harf harf sañbhāl kar

    na kisī ko talḳh javāb de na kisī se tund savāl kar

    maiñ unheñ qubūl nahīñ magar mire ham-safīr ye soch leñ

    ki phir un ke paas rahegā kyā mujhe gulsitāñ se nikāl kar

    vo tirī ġhinā mutālba ki farāḳh dast-e-atā rahe

    ye tirī anā mo.āmla na darāz dast-e-savāl kar

    mirā dil nahīñ mirā mas.ala ki hai ab ye aap aa.ina

    ise ehtiyāt se dekhnā ise toḌnā to sañbhāl kar

    maiñ amīr-e-mulk-e-tarab nahīñ mujhe jām-e-jam talab nahīñ

    mirī asl hai isī ḳhaak se mujhe pesh jām-e-sifāl kar

    hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na KHayal kar

    tu nawed-e-fasl-e-bahaar de na lahu faza mein uchhaal kar

    kabhi apne tair-e-shauq ko na asir-e-dam-e-KHayal kar

    kabhi guftugu-e-firaq kar kabhi justuju-e-visal kar

    na KHirad ko sarf-e-nashat kar na junun ko waqf-e-malal kar

    koi sehr-kar-e-hunar dikha koi sai-e-kasb-e-kamal kar

    na hikayat-e-shab-o-roz kah na shikayat-e-mah-o-sal kar

    na kisi ko waqif-e-dard kar na kisi ko shamil-e-haal kar

    sar-e-bazm ho jo suKHan-sara kahe harf harf sanbhaal kar

    na kisi ko talKH jawab de na kisi se tund sawal kar

    main unhen qubul nahin magar mere ham-safir ye soch len

    ki phir un ke pas rahega kya mujhe gulsitan se nikal kar

    wo teri ghina ka mutalba ki faraKH dast-e-ata rahe

    ye teri ana ka moamla na daraaz dast-e-sawal kar

    mera dil nahin mera masala ki hai ab ye aap ka aaina

    ise ehtiyat se dekhna ise toDna to sanbhaal kar

    main amir-e-mulk-e-tarab nahin mujhe jam-e-jam ki talab nahin

    meri asl hai isi KHak se mujhe pesh jam-e-sifal kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now