hamein mushkilon mein jo Dale bhi tu
hameñ mushkiloñ meñ jo Daale bhī tū
to phir mushkiloñ se nikāle bhī tū
tirā khel kyā hai tujhī ko pata
girā.e bhī tū hai sañbhāle bhī tū
kabhī aa ke hāthoñ se mai chhīn le
kabhī rakh de hoñToñ pe pyāle bhī tū
hai tū hī samundar tū hī āsmāñ
Dubo.e bhī tū hai uchhāle bhī tū
'ajab haiñ ḳhudā yojnā.eñ tirī
balā.eñ bhī de un ko Taale bhī tū
hamein mushkilon mein jo Dale bhi tu
to phir mushkilon se nikale bhi tu
tera khel kya hai tujhi ko pata
girae bhi tu hai sanbhaale bhi tu
kabhi aa ke hathon se mai chhin le
kabhi rakh de honTon pe pyale bhi tu
hai tu hi samundar tu hi aasman
Duboe bhi tu hai uchhaale bhi tu
'ajab hain KHuda yojnaen teri
balaen bhi de un ko Tale bhi tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.