Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila

Nabiul Hasan Shamim

hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila

Nabiul Hasan Shamim

MORE BYNabiul Hasan Shamim

    hameñ safīna-e-hastī rahnumā na milā

    ḳhudā ko saath liyā koī nāḳhudā na milā

    sukūn-e-qalb milā be-niyāziyāñ pā.īñ

    uThā.e haath jo terī taraf to kyā na milā

    kisī shirkat-e-aġhyār kab gavārā thī

    ḳhudā shukr koī dard-āshnā na milā

    taḌap taḌap ke tire bismiloñ ne maqtal meñ

    baḌhā.e haath magar dāman-e-qazā na milā

    milī thī aañkh to phir tāb-e-dīd bhī miltī

    tajalliyoñ ke tamāsha meñ kuchh mazā na milā

    thā iztirāb meñ vo lutf-e-zindagī muzmar

    phir us ke baad kisī baat meñ mazā na milā

    tumhārī shoḳhī-e-taqrīr to kyā kahnā

    javāb saaf kabhī merī baat na milā

    nigāh sharm se nīchī rahī pashemāñ

    vo be-vafā jo milā bhī to be-vafā na milā

    sharīk-e-hāl ab ahbāb tak nahīñ hote

    'shamīm' ham ko bhī qismat se kyā zamāna milā

    hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila

    KHuda ko sath liya koi naKHuda na mila

    sukun-e-qalb mila be-niyaziyan pain

    uThae hath jo teri taraf to kya na mila

    kisi ki shirkat-e-aghyar kab gawara thi

    KHuda ka shukr koi dard-ashna na mila

    taDap taDap ke tere bismilon ne maqtal mein

    baDhae hath magar daman-e-qaza na mila

    mili thi aankh to phir tab-e-did bhi milti

    tajalliyon ke tamasha mein kuchh maza na mila

    tha iztirab mein wo lutf-e-zindagi muzmar

    phir us ke baad kisi baat mein maza na mila

    tumhaari shoKHi-e-taqrir ka to kya kahna

    jawab saf kabhi meri baat ka na mila

    nigah sharm se nichi rahi pasheman ki

    wo be-wafa jo mila bhi to be-wafa na mila

    sharik-e-haal ab ahbab tak nahin hote

    'shamim' hum ko bhi qismat se kya zamana mila

    Source:

    Alam-e-Hissiyat (Pg. 53)

    • Author: Nabiul Hasan Shamim
      • Publisher: Unknown Organization
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now