Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

Aale Ahmad Suroor

hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    hameñ to mai-kade ye nizām achchhā nahīñ lagtā

    na ho sab ke liye gardish meñ jaam achchhā nahīñ lagtā

    kabhī tanhā.ī ḳhvāhish ye hotī hai ki logoñ

    payām achchhā nahīñ lagtā salām achchhā nahīñ lagtā

    ḳhudā se lau lagā.eñ ḳhudā.ī se rahe rishta

    faqat apnī ḳhudī ehtirām achchhā nahīñ lagtā

    jabīn-e-pur-shikan ḳhāsān-e-ālam nahīñ bhātī

    magar ye bhī hai ġhauġhā-e-āvām achchhā nahīñ lagtā

    na ḳhushbū pairahan hai na zulfoñ na bātoñ

    hameñ ye jalva-e-bālā-e-bām achchhā nahīñ lagtā

    mayassar ho to qadre lutf bhī nemat hai yaañ yaaro

    kisī vāda-e-aish-e-davām achchhā nahīñ lagtā

    ye sastī lazzatoñ sastī siyāsat ke pujārī haiñ

    hameñ ahbāb saudā-e-ḳhām achchhā nahīñ lagtā

    jahāñ harkat nahīñ hotī vahāñ barkat nahīñ hotī

    'surūr' ab vādi-e-gul meñ qayām achchhā nahīñ lagtā

    hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

    na ho sab ke liye gardish mein jam achchha nahin lagta

    kabhi tanhai ki KHwahish ye hoti hai ki logon ka

    payam achchha nahin lagta salam achchha nahin lagta

    KHuda se lau lagaen ya KHudai se rahe rishta

    faqat apni KHudi ka ehtiram achchha nahin lagta

    jabin-e-pur-shikan KHasan-e-alam ki nahin bhati

    magar ye bhi hai ghaugha-e-awam achchha nahin lagta

    na KHushbu pairahan ki hai na zulfon ki na baaton ki

    hamein ye jalwa-e-baala-e-baam achchha nahin lagta

    mayassar ho to qadre lutf bhi nemat hai yan yaro

    kisi ka wada-e-aish-e-dawam achchha nahin lagta

    ye sasti lazzaton sasti siyasat ke pujari hain

    hamein ahbab ka sauda-e-KHam achchha nahin lagta

    jahan harkat nahin hoti wahan barkat nahin hoti

    'surur' ab wadi-e-gul mein qayam achchha nahin lagta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now