hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun

Ashfaq Husain

hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

  hañgām-e-shab-o-roz meñ uljhā huā kyuuñ huuñ

  dariyā huuñ to phir raah meñ Thahrā huā kyuuñ huuñ

  kyuuñ merī jaḌeñ ke zamīñ se nahīñ miltīñ

  gamle tarah sahn meñ rakkhā huā kyuuñ huuñ

  is ghar ke makīnoñ ravayya bhī to dekhūñ

  taz.īn-e-dar-o-bām meñ khoyā huā kyuuñ huuñ

  girtī nahīñ kyuuñ mujh pe kisī zaḳhm shabnam

  maiñ qāfila-e-dard se bachhḌā huā kyuuñ huuñ

  āñkhoñ pe jo utrā na huā dil pe jo tahrīr

  us ḳhvāb ta.abīr se sahmā huā kyuuñ huuñ

  din bhar ke jhameloñ se bachā laayā thā ḳhud ko

  shaam aate 'ashfāq' maiñ TuuTā huā kyuuñ huuñ

  hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun

  dariya hun to phir rah mein Thahra hua kyun hun

  kyun meri jaDen ja ke zamin se nahin miltin

  gamle ki tarah sahn mein rakkha hua kyun hun

  is ghar ke makinon ka rawayya bhi to dekhun

  tazin-e-dar-o-baam mein khoya hua kyun hun

  girti nahin kyun mujh pe kisi zaKHm ki shabnam

  main qafila-e-dard se bachhDa hua kyun hun

  aankhon pe jo utra na hua dil pe jo tahrir

  us KHwab ki tabir se sahma hua kyun hun

  din bhar ke jhamelon se bacha laya tha KHud ko

  sham aate hi 'ashfaq' main TuTa hua kyun hun

  Source :
  • Book : Mein Gaya Waqt Nahin Hoon (Pg. 37)
  • Author : Ashfaq Hussain
  • Publication : Shahid Publications (2010)
  • Edition : 2010
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY