Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hans hans kar aansu pi jaana aap ke bas ki baat nahin

Akhtar Azad

hans hans kar aansu pi jaana aap ke bas ki baat nahin

Akhtar Azad

MORE BYAkhtar Azad

    hañs hañs kar aañsū jaanā aap ke bas baat nahīñ

    apne ghar meñ aag lagānā aap ke bas baat nahīñ

    dīvānoñ āñkheñ bhī ā.īne jaise hotī haiñ

    dīvānoñ se aañkh milānā aap ke bas baat nahīñ

    ab to maut uThā.e ham ko to shāyad ham uTh jaa.eñ

    ham ko apne dar se uThānā aap ke bas baat nahīñ

    har ik gaam pe us galī meñ tanz ke patthar chalte haiñ

    us galī meñ ānā-jānā aap ke bas baat nahīñ

    yuuñ to ham ne aap ḳhātir hosh gañvā.e jog liyā

    lekin ab ham ko samjhānā aap ke bas baat nahīñ

    aap ye tanhā.ī ik din merā naam pukāregī

    uljhī huī zulfeñ suljhāna aap ke bas baat nahīñ

    hans hans kar aansu pi jaana aap ke bas ki baat nahin

    apne ghar mein aag lagana aap ke bas ki baat nahin

    diwanon ki aankhen bhi aaine jaise hoti hain

    diwanon se aankh milana aap ke bas ki baat nahin

    ab to maut uThae hum ko to shayad hum uTh jaen

    hum ko apne dar se uThana aap ke bas ki baat nahin

    har ek gam pe us ki gali mein tanz ke patthar chalte hain

    us ki gali mein aana-jaana aap ke bas ki baat nahin

    yun to hum ne aap ki KHatir hosh ganwae jog liya

    lekin ab hum ko samjhana aap ke bas ki baat nahin

    aap ki ye tanhai ek din mera nam pukaregi

    uljhi hui zulfen suljhana aap ke bas ki baat nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now