hans ke bola karo bulaya karo
hañs ke bolā karo bulāyā karo
aap kā ghar hai aayā jaayā karo
muskurāhaT hai husn kā zevar
ruup baḌhtā hai muskurāyā karo
had se baḌh kar hasīn lagte ho
jhūTī qasmeñ zarūr khāyā karo
hukm karnā bhī ik saḳhāvat hai
ham ko ḳhidmat koī batāyā karo
baat karnā bhī bādshāhat hai
baat karnā na bhuul jaayā karo
taaki duniyā kī dilkashī na ghaTe
nit-na.e pairahan meñ aayā karo
ham hasad se 'adam' nahīñ kahte
us galī meñ bahut na jaayā karo
hans ke bola karo bulaya karo
aap ka ghar hai aaya jaya karo
muskurahaT hai husn ka zewar
rup baDhta hai muskuraya karo
had se baDh kar hasin lagte ho
jhuTi qasmen zarur khaya karo
hukm karna bhi ek saKHawat hai
hum ko KHidmat koi bataya karo
baat karna bhi baadshahat hai
baat karna na bhul jaya karo
taki duniya ki dilkashi na ghaTe
nit-nae pairahan mein aaya karo
hum hasad se 'adam' nahin kahte
us gali mein bahut na jaya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.