aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya

Muneer Niyazi

hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    hañsī chhupā bhī gayā aur nazar milā bhī gayā

    ye ik jhalak tamāshā jigar jalā bhī gayā

    uThā to bhī chukā thā ajiib mehmāñ thā

    sadā.eñ de ke mujhe niiñd se jagā bhī gayā

    ġhazab huā jo añdhere meñ jal uThī bijlī

    badan kisī tilismāt kuchh dikhā bhī gayā

    na aayā koī lab-e-bām shaam Dhalne lagī

    vufūr-e-shauq se āñkhoñ meñ ḳhuun aa bhī gayā

    havā thī gahrī ghaTā thī hinā ḳhushbū thī

    ye ek raat qissa lahū rulā bhī gayā

    chalo 'munīr' chaleñ ab yahāñ raheñ bhī to kyā

    vo sañg-dil to yahāñ se kahīñ chalā bhī gayā

    hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya

    ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya

    uTha to ja bhi chuka tha ajib mehman tha

    sadaen de ke mujhe nind se jaga bhi gaya

    ghazab hua jo andhere mein jal uThi bijli

    badan kisi ka tilismat kuchh dikha bhi gaya

    na aaya koi lab-e-baam sham Dhalne lagi

    wufur-e-shauq se aankhon mein KHun aa bhi gaya

    hawa thi gahri ghaTa thi hina ki KHushbu thi

    ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya

    chalo 'munir' chalen ab yahan rahen bhi to kya

    wo sang-dil to yahan se kahin chala bhi gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now