Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai

Qamar Iqbal

hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai

Qamar Iqbal

MORE BYQamar Iqbal

    hañstī huī tanhā vo darīche meñ khaḌī hai

    laḌkī hai ki tarshe hue hīroñ laḌī hai

    sone ye andāz hai ḳhafgī 'alāmat

    chehra kiye dīvār jānib vo paḌī hai

    kohre meñ ghirī shaam Dolī se utar kar

    tanhā.ī chaukhaT pe tirī yaar khaḌī hai

    dil 'umr ke qānūn qaa.il nahīñ varna

    ehsās use bhī hai ki vo mujh se baḌī hai

    āñkhoñ meñ tire ġham hai hañstā huā mausam

    dil meñ tirī yādoñ harī fasl khaḌī hai

    pābandi-e-auqāt huī us se na hogī

    har chand ki nāzuk se kalā.ī meñ ghaḌī hai

    maqtūl ko kar aa.e jahāñ dafn 'qamar' log

    talvār bhī qātil vahīñ par to gaḌī hai

    hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai

    laDki hai ki tarshe hue hiron ki laDi hai

    sone ka ye andaz hai KHafgi ki 'alamat

    chehra kiye diwar ki jaanib wo paDi hai

    kohre mein ghiri sham ki Doli se utar kar

    tanhai ki chaukhaT pe teri yar khaDi hai

    dil 'umr ke qanun ka qail nahin warna

    ehsas use bhi hai ki wo mujh se baDi hai

    aankhon mein tere gham ka hai hansta hua mausam

    dil mein teri yaadon ki hari fasl khaDi hai

    pabandi-e-auqat hui us se na hogi

    har chand ki nazuk se kalai mein ghaDi hai

    maqtul ko kar aae jahan dafn 'qamar' log

    talwar bhi qatil ki wahin par to gaDi hai

    Source:

    shab khuun (48) (rekhta website) (Pg. 51)

      • Edition: 1970
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now