Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haq ko humne to sada phulte phalte dekha

Musavvir Lakhnavi

haq ko humne to sada phulte phalte dekha

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    haq ko ham ne to sadā phūlte phalte dekhā

    tez āñdhī meñ bhī is sham.a ko jalte dekhā

    jin aqlīm meñ hotī na thī shaam kabhī

    āftāb un hukūmat bhī Dhalte dekhā

    ek parbat chaḌhā.ī hai ye ahd-e-hastī

    jo chaḌhā dauḌ ke us ko phisalte dekhā

    jin pe chhāyā thā ra.ūnat nasha be-pāyāñ

    Thokareñ khā ke bhī un ko na sañbhalte dekhā

    raunaq-e-bazm to kyā lā.eq-e-mahfil bhī nahīñ

    ham ne apnā koī armāñ na nikalte dekhā

    kaun hai vo jise ab saa.e se bhī nafrat hai

    ham ne jab dekhā use dhuup meñ chalte dekhā

    vaqt baat hai vo qāfila-sālār haiñ aaj

    giḌgiḌāte jinheñ dekhā hai machalte dekhā

    kabhī aa.iin tauhīn gavārā kar

    kabhī insāf sar ham ne kuchalte dekhā

    ek jaan aur do qālib the 'musavvir' jo kabhī

    aisā vaqt aaya ki un ko bhī badalte dekhā

    haq ko hum ne to sada phulte phalte dekha

    tez aandhi mein bhi is shama ko jalte dekha

    jin ki aqlim mein hoti hi na thi sham kabhi

    aaftab un ki hukumat ka bhi Dhalte dekha

    ek parbat ki chaDhai hai ye ahd-e-hasti

    jo chaDha dauD ke us ko hi phisalte dekha

    jin pe chhaya tha raunat ka nasha be-payan

    Thokaren kha ke bhi un ko na sanbhalte dekha

    raunaq-e-bazm to kya laeq-e-mahfil bhi nahin

    hum ne apna koi arman na nikalte dekha

    kaun hai wo jise ab sae se bhi nafrat hai

    hum ne jab dekha use dhup mein chalte dekha

    waqt ki baat hai wo qafila-salar hain aaj

    giDgiDate jinhen dekha hai machalte dekha

    kabhi aain ki tauhin gawara kar li

    kabhi insaf ka sar hum ne kuchalte dekha

    ek jaan aur do qalib the 'musawwir' jo kabhi

    aisa waqt aaya ki un ko bhi badalte dekha

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now