Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi

Bebak  Bhojpuri

haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi

Bebak Bhojpuri

MORE BYBebak Bhojpuri

    haq pasandoñ se jahāñ bar-sar-e-paikār sahī

    kuchh dinoñ aur bhī rusvā sar-e-bāzār sahī

    ḳhūn-e-ma.asūm se ta.amīr hai bustān-e-vajūd

    ishrat-e-dahr se mahrūm vafādār sahī

    jehd-o-īsār se raushan hai vafā qindīl

    dil-girafta haram-e-pāk me.amār sahī

    merā īmān hai elān-e-haqīqat karnā

    laakh mansūr ḳhātir rasan-o-dār sahī

    azm-e-rāsiḳh hai to har gaam hai manzil ba-kanār

    vahshat-āsār sivā darra-e-dushvār sahī

    ābla-pā se bujhāte chalo tishna-labī

    mumtahin jāda-e-auqāt har ḳhaar sahī

    baḌh ke lenā hai hameñ jur.at-e-īsār se kaam

    hā.il-e-rāh-e-junūd-e-ġham-o-āzār sahī

    Daal do bahr-e-havādis meñ ḳhudā par kashtī

    nā-ḳhudā dām-e-tavahhum meñ giraftār sahī

    rāhbar jazba-e-sādiq dil-e-ma.asūm hai

    har nafas ziist ik manzil-e-dushvār sahī

    sarfaroshān-e-vatan aaj vatan ḳhātir

    ek gulzār ho ta.amīr sar-e-dār sahī

    husn-e-aḳhlāq se 'bebāk' raho sīna-sipar

    dast-e-āġhyār meñ shamshīr-e-sharar-bār sahī

    haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi

    kuchh dinon aur bhi ruswa sar-e-bazar sahi

    KHun-e-masum se tamir hai bustan-e-wajud

    ishrat-e-dahr se mahrum wafadar sahi

    jehd-o-isar se raushan hai wafa ki qindil

    dil-girafta haram-e-pak ka meamar sahi

    mera iman hai elan-e-haqiqat karna

    lakh mansur ki KHatir rasan-o-dar sahi

    azm-e-rasiKH hai to har gam hai manzil ba-kanar

    wahshat-asar siwa darra-e-dushwar sahi

    aabla-pa se bujhate hi chalo tishna-labi

    mumtahin jada-e-auqat ka har KHar sahi

    baDh ke lena hai hamein jurat-e-isar se kaam

    hail-e-rah-e-junud-e-gham-o-azar sahi

    Dal do bahr-e-hawadis mein KHuda par kashti

    na-KHuda dam-e-tawahhum mein giraftar sahi

    rahbar jazba-e-sadiq dil-e-masum ka hai

    har nafas zist ka ek manzil-e-dushwar sahi

    sarfaroshan-e-watan aaj watan ki KHatir

    ek gulzar ho tamir sar-e-dar sahi

    husn-e-aKHlaq se 'bebak' raho sina-sipar

    dast-e-aghyar mein shamshir-e-sharar-bar sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now