Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana

Sahir Siyalkoti

haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana

Sahir Siyalkoti

MORE BYSahir Siyalkoti

    haqīqat meñ vahī ik shaḳhs hai duniyā meñ farzāna

    jise tum aa.e din kahte ho ye hai koī dīvāna

    bharam qaa.em hai tere naam se donoñ duniyā meñ

    haqīqat meñ tirā maskan na ka.aba hai na but-ḳhāna

    dil-e-shaidā fitrat ko koī samjhe to kyā samjhe

    ye farzāne farzāna ye dīvāne dīvāna

    mohabbat ne lagā aag donoñ ko barābar

    idhar to sham.a jaltī hai udhar jaltā hai parvāna

    na pūchho ham se andāza ye hai tauhīn piine

    hamāre mai-kade meñ koī shīsha hai na paimāna

    razā-kārān-e-ulfat maut se ḳhā.if nahīñ hote

    hamesha aag se kheltā rahtā hai parvāna

    mazammat mai karne aa.e ho maiḳhāne meñ vaa.iz

    zarā socho to ye bhī kaam hai koī sharīfāna

    tamannā hūr-o-ġhilmāñ mubārak ho tujhe vaa.iz

    hameñ ye batā jannat meñ hogā koī mai-ḳhāna

    parā.ī aag meñ jalnā bahut dushvār hai 'sāhir'

    ye kaam insāñ ko lāzim thā magar kartā hai parvāna

    haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana

    jise tum aae din kahte ho ye hai koi diwana

    bharam qaem hai tere nam se donon ka duniya mein

    haqiqat mein tera maskan na kaba hai na but-KHana

    dil-e-shaida ki fitrat ko koi samjhe to kya samjhe

    ye farzane ka farzana ye diwane ka diwana

    mohabbat ne laga di aag donon ko barabar ki

    idhar to shama jalti hai udhar jalta hai parwana

    na puchho hum se andaza ye hai tauhin pine ki

    hamare mai-kade mein koi shisha hai na paimana

    raza-karan-e-ulfat maut se KHaif nahin hote

    hamesha aag hi se khelta rahta hai parwana

    mazammat mai ki karne aae ho maiKHane mein waiz

    zara socho to ye bhi kaam hai koi sharifana

    tamanna hur-o-ghilman ki mubarak ho tujhe waiz

    hamein tu ye bata jannat mein hoga koi mai-KHana

    parai aag mein jalna bahut dushwar hai 'sahir'

    ye kaam insan ko lazim tha magar karta hai parwana

    Source:

    Hareem-e-Sukhan (Pg. 71)

    • Author: Sahir Siyalkoti
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now