haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai
haqīqat to ye hai yāvar agar taqdīr hotī hai
to har mushkil meñ paidā ik na ik tadbīr hotī hai
nikaltī hai jo dil se aah vo iksīr hotī hai
duā-e-sub.h-gāhī meñ ajab tāsīr hotī hai
shab-e-va.ada tire aane meñ jab tāḳhīr hotī hai
hamārī har nazar ik yaas kī tasvīr hotī hai
hameñ kyoñ manā kartā hai tū vaa.iz but-parastī se
sanam-ḳhāne hī meñ ka.abe kī bhī ta.amīr hotī hai
kisī kī shān-e-rahmat kah ga.ī merī nadāmat se
jo bande haiñ unhīñ se asl meñ taqsīr hotī hai
sharīk-e-shām-e-tanhā.ī nahīñ hotā agar koī
mirī āñkhoñ meñ tū dil meñ tirī tasvīr hotī hai
ḳhatā.eñ hotī rahtī haiñ nazar-andāz ġhairoñ kī
mirī har be-gunāhī qābil-e-tāzīr hotī hai
faqat hai dasht-paimā.ī se matlab chārāgar ham ko
kahīñ ham vahshiyoñ ke paañv meñ zanjīr hotī hai
atā kar aise naale jo tire dar tak pahuñch jaa.eñ
hameñ vo aah de jis aah meñ tāsīr hotī hai
mirī mayyat kā naqsha khīñchne do mere madfan meñ
yahī to zindagī kī āḳhirī tasvīr hotī hai
hamārī aañkh laa.e tāb-e-jalva kis tarah 'mehdī'
nazar uThtī hai jo vo chādar-e-tanvīr hotī hai
haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai
to har mushkil mein paida ek na ek tadbir hoti hai
nikalti hai jo dil se aah wo iksir hoti hai
dua-e-subh-gahi mein ajab tasir hoti hai
shab-e-wada tere aane mein jab taKHir hoti hai
hamari har nazar ek yas ki taswir hoti hai
hamein kyon mana karta hai tu waiz but-parasti se
sanam-KHane hi mein kabe ki bhi tamir hoti hai
kisi ki shan-e-rahmat kah gai meri nadamat se
jo bande hain unhin se asl mein taqsir hoti hai
sharik-e-sham-e-tanhai nahin hota agar koi
meri aankhon mein tu dil mein teri taswir hoti hai
KHataen hoti rahti hain nazar-andaz ghairon ki
meri har be-gunahi qabil-e-tazir hoti hai
faqat hai dasht-paimai se matlab chaaragar hum ko
kahin hum wahshiyon ke panw mein zanjir hoti hai
ata kar aise nale jo tere dar tak pahunch jaen
hamein wo aah de jis aah mein tasir hoti hai
meri mayyat ka naqsha khinchne do mere madfan mein
yahi to zindagi ki aaKHiri taswir hoti hai
hamari aankh lae tab-e-jalwa kis tarah 'mehdi'
nazar uThti hai jo wo chadar-e-tanwir hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.