haqiqaton ka aks ek KHwab-zar hi na ho
haqīqatoñ kā 'aks ek ḳhvāb-zār hī na ho
ye aa.ina bhī zindagī kā rāzdār hī na ho
mirī vo ik nigāh koī shāhkār hī na ho
kisī hasīn zindagī kā e'tibār hī na ho
fazāoñ kā sukūt ḳhushk pattiyoñ ke saaz par
kisī udaas lai meñ naġhma-e-bahār hī na ho
shafaq ‘urūs-e-shām ke laboñ kā ātishīñ-ḳhayāl
kisī sunahre āftāb kā mazār hī na ho
vo ik nazar jo terī samt uTh ga.ī kabhī kabhī
hamārī kam-nigāhiyoñ kī parda-dār hī na ho
phuvār ke hasīn raqs meñ na aa.e zindagī
agar ye pattiyoñ pe halkā sā ġhubār hī na ho
sukūñ hamārī quvvatoñ kī barhamī se kaañp uThā
sukūñ hamārī quvvatoñ kā intishār hī na ho
ḳhud apnī talḳhiyoñ meñ zindagī bhī kho ke rah ga.ī
haqīqatoñ se khelnā bhī ik farār hī na ho
surūd-o-raqs aur jaam kā 'kamāl' kā jahāñ
bahisht bhī taḳhayyul-e-gunāhgār hī na ho
haqiqaton ka 'aks ek KHwab-zar hi na ho
ye aaina bhi zindagi ka raazdar hi na ho
meri wo ek nigah koi shahkar hi na ho
kisi hasin zindagi ka e'tibar hi na ho
fazaon ka sukut KHushk pattiyon ke saz par
kisi udas lai mein naghma-e-bahaar hi na ho
shafaq ‘urus-e-sham ke labon ka aatishin-KHayal
kisi sunahre aaftab ka mazar hi na ho
wo ek nazar jo teri samt uTh gai kabhi kabhi
hamari kam-nigahiyon ki parda-dar hi na ho
phuwar ke hasin raqs mein na aae zindagi
agar ye pattiyon pe halka sa ghubar hi na ho
sukun hamari quwwaton ki barhami se kanp uTha
sukun hamari quwwaton ka intishaar hi na ho
KHud apni talKHiyon mein zindagi bhi kho ke rah gai
haqiqaton se khelna bhi ek farar hi na ho
surud-o-raqs aur jam ka 'kamal' ka jahan
bahisht bhi taKHayyul-e-gunahgar hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.