Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aan yas baDhni har dam umid ghaTni

Waliullah Muhib

har aan yas baDhni har dam umid ghaTni

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    har aan yaas baḌhnī har dam umiid ghaTnī

    din hashr hai ab to furqat raat kaTnī

    pau phāTnā nahīñ ye mujh sīna-chāk ke hai

    har sub.h bār-e-ġham se chhātī falak फटनी

    kūche meñ us ke baaqī mujh ḳhāksār par ab

    āsmāñ hai girnā hai zamīn phahTnī

    mizhgāñ barchhiyoñ ne dil ko to chhān maarā

    ab boTiyāñ haiñ baaqī un par jigar baTnī

    ḳhat siyāhī ne aa gherī sabāhat-e-husn

    is rome se hai mushkil ye fauj-e-zañg haTnī

    zulf-e-siyah meñ ai dil bikhrā na māya-jāñ

    ye jins tīra-shab meñ mushkil hai phir simaTnī

    ḳhūn-e-jigar khānā dil par nahīñ gavārā

    in tursh abaruoñ jab tak na ho.e chaTnī

    ā.īna kah rahā hai ḳhūboñ ke saaf muñh par

    haiñ ek din ye shakleñ sab ḳhaak biich aTnī

    rangīñ hai yuuñ butoñ kaif-e-nigah gardish

    juuñ burj phire hai holī meñ mast jaTnī

    kyā past fitratoñ ko baḳhshe hai sar-bulandī

    duniyā ke sho'bade se tā'līm ho.e naTnī

    ne 'muhib' biThā.e ye qāfiye vagarna

    paa.e qalam ko yaksar hai ye zamīñ rapaTnī

    har aan yas baDhni har dam umid ghaTni

    din hashr ka hai ab to furqat ki raat kaTni

    pau phaTna nahin ye mujh sina-chaak ke hai

    har subh bar-e-gham se chhati falak ki फटनी

    kuche mein us ke baqi mujh KHaksar par ab

    ya aasman hai girna ya hai zamin phahTni

    mizhgan ki barchhiyon ne dil ko to chhan mara

    ab boTiyan hain baqi un par jigar ki baTni

    KHat ki siyahi ne aa gheri sabahat-e-husn

    is rome se hai mushkil ye fauj-e-zang haTni

    zulf-e-siyah mein ai dil bikhra na maya-jaan

    ye jins tira-shab mein mushkil hai phir simaTni

    KHun-e-jigar ka khana dil par nahin gawara

    in tursh abaruon ki jab tak na hoe chaTni

    aaina kah raha hai KHubon ke saf munh par

    hain ek din ye shaklen sab KHak bich aTni

    rangin hai yun buton ki kaif-e-nigah ki gardish

    jun burj ki phire hai holi mein mast jaTni

    kya past fitraton ko baKHshe hai sar-bulandi

    duniya ke sho'bade se ta'lim hoe naTni

    tu ne 'muhib' biThae ye qafiye wagarna

    pae qalam ko yaksar hai ye zamin rapaTni

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-375 p-374)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now