Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ada tund aur nabaat uski

Tabish Siddiqui

har ada tund aur nabaat uski

Tabish Siddiqui

MORE BYTabish Siddiqui

    har adā tund aur nabāt us

    dil meñ khubtī hai baat baat us

    jaan jis ne tere qadmoñ meñ

    ho ga.ī maut bhī hayāt us

    dil-e-marhūm to zikr kyā

    tum the le-de ke kā.enāt us

    mar gayā dil vafā ke dhoke meñ

    na sunī tum ne vārdāt us

    na gayā shaiḳh junūn-e-bahisht

    na huī mar ke bhī najāt us

    zarra jo terī bārgāh meñ hai

    sub.h us din us raat us

    tum bhī 'tābish' ko jānte hoge

    husn maz.hab hai ishq zaat us

    har ada tund aur nabaat us ki

    dil mein khubti hai baat baat us ki

    jaan di jis ne tere qadmon mein

    ho gai maut bhi hayat us ki

    dil-e-marhum ka to zikr hi kya

    tum the le-de ke kaenat us ki

    mar gaya dil wafa ke dhoke mein

    na suni tum ne wardat us ki

    na gaya shaiKH ka junun-e-bahisht

    na hui mar ke bhi najat us ki

    zarra jo teri bargah mein hai

    subh us ki din us ka raat us ki

    tum bhi 'tabish' ko jaante hoge

    husn mazhab hai ishq zat us ki

    Source:

    rang-e-ghazal (Pg. 371)

      • Edition: 1988
      • Publisher: Packages Limited, Lahore
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now