Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

Takht Singh

har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    har ashk tirī yaad naqsh-e-kaf-e-pā hai

    har aah tire pā-e-tasavvur sadā hai

    har zarra meñ har phuul meñ ā.īna paḌā hai

    har samt tire aks mahshar bapā hai

    ik an-sunī āvāz aatī hai kahīñ se

    ik paikar-e-mauhūm sar-e-dosh-e-havā hai

    yuuñ jhiil meñ zau-rez tirā saaya hai maano

    paanī añgūThī meñ nagīna jaḌā hai

    pābandī-e-ādāb se hushiyār ki is meñ

    har qahqaha naukā tarah Duub chukā hai

    rahtā thā jahāñ dil meñ tire pyaar panchhī

    us shāḳh par ab ujḌā huā ghoñsla hai

    shāyad yahī sho.ala his-e-bātil ḳhabar le

    ai dost sar-e-dār dhuāñ to uThā hai

    shāyad maiñ sar-e-chashma-e-anvār khaḌā huuñ

    hairāñ huuñ pā-e-nazar chāñd kyā hai

    vo rañg tasavvur hai ki har zarra-e-jāñ se

    ik ajnabī chehra mujhe ghuur rahā hai

    kyuuñ phail chalā bazm-e-tamannā meñ dhuāñ

    kyuuñ terī mohabbat diyā bujh gayā hai

    har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

    har aah tere pa-e-tasawwur ki sada hai

    har zarra mein har phul mein aaina paDa hai

    har samt tere aks ka mahshar sa bapa hai

    ek an-suni aawaz si aati hai kahin se

    ek paikar-e-mauhum sar-e-dosh-e-hawa hai

    yun jhil mein zau-rez tera saya hai mano

    pani ki anguThi mein nagina sa jaDa hai

    pabandi-e-adab se hushiyar ki is mein

    har qahqaha nauka ki tarah Dub chuka hai

    rahta tha jahan dil mein tere pyar ka panchhi

    us shaKH par ab ujDa hua ghonsla sa hai

    shayad yahi shoala his-e-baatil ki KHabar le

    ai dost sar-e-dar dhuan sa to uTha hai

    shayad main sar-e-chashma-e-anwar khaDa hun

    hairan hun ta pa-e-nazar chand sa kya hai

    wo rang tasawwur hai ki har zarra-e-jaan se

    ek ajnabi sa chehra mujhe ghur raha hai

    kyun phail chala bazm-e-tamanna mein dhuan sa

    kyun teri mohabbat ka diya bujh sa gaya hai

    Source:

    Shab-e-Uriyan (Pg. 85)

    • Author: Takht Singh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now