Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har baat teri jaan-e-jahan man raha hun

Sulaiman Areeb

har baat teri jaan-e-jahan man raha hun

Sulaiman Areeb

MORE BYSulaiman Areeb

    har baat tirī jān-e-jahāñ maan rahā huuñ

    ab ḳhāk-e-rah-e-kāhkashāñ chhān rahā huuñ

    asnām se derīna ta.alluq badaulat

    maiñ kufr har daur meñ īmān rahā huuñ

    duniyā se laḌā.ī to azal se rahī hai

    ab ḳhud se jhagaḌne bhī maiñ Thaan rahā huuñ

    ab tak to shab-o-roz kuchh is tarah kaTe haiñ

    jis bhī rahā apnā mehmān rahā huuñ

    mansab ye mujhe jabr-e-mashiyat se milā hai

    chaltī huī lāshoñ nigahbān rahā huuñ

    vo sher huuñ jis ko abhī sochegā zamāna

    likkhā na gayā jis ko vo dīvān rahā huuñ

    be-tāj huuñ be-taḳht huuñ be-mulk-o-hukumat

    haañ naam lekin maiñ 'sulaimān' rahā huuñ

    har baat teri jaan-e-jahan man raha hun

    ab KHak-e-rah-e-kahkashan chhan raha hun

    asnam se derina talluq ki badaulat

    main kufr ka har daur mein iman raha hun

    duniya se laDai to azal hi se rahi hai

    ab KHud se jhagaDne ki bhi main Than raha hun

    ab tak to shab-o-roz kuchh is tarah kaTe hain

    jis ja bhi raha apna hi mehman raha hun

    mansab ye mujhe jabr-e-mashiyat se mila hai

    chalti hui lashon ka nigahban raha hun

    wo sher hun jis ko abhi sochega zamana

    likkha na gaya jis ko wo diwan raha hun

    be-taj hun be-taKHt hun be-mulk-o-hukumat

    han nam ka lekin main 'sulaiman' raha hun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 442)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now