Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har chand ki lae the jigar chir ke moti

Khumar Mirzada

har chand ki lae the jigar chir ke moti

Khumar Mirzada

MORE BYKhumar Mirzada

    har chand ki laa.e the jigar chiir ke motī

    arzāñ rahe nāla-e-shab-gīr ke motī

    ik maañ ne bilakte hue bachchoñ ke liye shab

    beche kisī bāzār meñ tauqīr ke motī

    har rañg jamāte haiñ yaqīñ-tāb badan

    in ḳhvāb se hoñToñ pe asātīr ke motī

    dahlīz-e-mohabbat se sameTe haiñ hamesha

    taare kisī shīrīñ ke kisī hiir ke motī

    ḳhāmoshī kahegī ḳhalish-e-jāñ fasāna

    palkoñ se chune jā.eñge tāsīr ke motī

    zulmat-kada-e-fikr meñ tābāñ haiñ azal se

    ġhālib ke kahīñ 'mīr'-taqī-'mīr' ke motī

    kaafī se ziyāda hai ye tāvān junūñ

    haiñ kāsa-e-zānū meñ jo zanjīr ke motī

    ho jā.eñge mujh aise siyahkār ḳhātir

    baḳhshish vasīla ġham-e-shabbīr ke motī

    har chand ki lae the jigar chir ke moti

    arzan hi rahe nala-e-shab-gir ke moti

    ek man ne bilakte hue bachchon ke liye shab

    beche kisi bazar mein tauqir ke moti

    har rang jamate hain yaqin-tab badan ka

    in KHwab se honTon pe asatir ke moti

    dahliz-e-mohabbat se sameTe hain hamesha

    tare kisi shirin ke kisi hir ke moti

    KHamoshi kahegi KHalish-e-jaan ka fasana

    palkon se chune jaenge tasir ke moti

    zulmat-kada-e-fikr mein taban hain azal se

    ghaalib ke kahin 'mir'-taqi-'mir' ke moti

    kafi se ziyaada hai ye tawan junun ka

    hain kasa-e-zanu mein jo zanjir ke moti

    ho jaenge mujh aise siyahkar ki KHatir

    baKHshish ka wasila gham-e-shabbir ke moti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now