Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai

Javed Jamil

har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai

Javed Jamil

MORE BYJaved Jamil

    har chehra na jaane kyuuñ ghabrāyā huā hai

    bechain lagtā hai taḌpāyā huā hai

    kyā dhoka nayā koī khāyā hai mohabbat meñ

    har uzv-e-badan us tharrāyā huā hai

    āñkhoñ meñ chamak hai ruḳhsār meñ surḳhī

    āġhosh meñ ulfat sharmāyā huā hai

    khilne tamannā thī zulfoñ ke gulistāñ meñ

    dil TuuT gayā gul murjhāyā huā hai

    khulne meñ qabāhat hai gesū-e-mohabbat ko

    chehra shab-e-hasrat pathrāyā huā hai

    alfāz āñkhoñ se barsāt hai ashkoñ

    lahja ġham-e-jānāñ se bharrāyā huā hai

    nafrat shu'ā'oñ yalġhār hai har jaañ par

    jis qalb meñ bhī jhāñko kumhlāyā huā hai

    ilhād hamla hai 'jāved' har ik jānib

    'ālam ye 'ālam hai paglāyā huā hai

    har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai

    bechain sa lagta hai taDpaya hua sa hai

    kya dhoka naya koi khaya hai mohabbat mein

    har uzw-e-badan us ka tharraya hua sa hai

    aankhon mein chamak si hai ruKHsar mein surKHi si

    aaghosh mein ulfat ki sharmaya hua sa hai

    khilne ki tamanna thi zulfon ke gulistan mein

    dil TuT gaya gul ka murjhaya hua sa hai

    khulne mein qabahat hai gesu-e-mohabbat ko

    chehra shab-e-hasrat ka pathraya hua sa hai

    alfaz ki aankhon se barsat hai ashkon ki

    lahja gham-e-jaanan se bharraya hua sa hai

    nafrat ki shu'a'on ki yalghaar hai har jaan par

    jis qalb mein bhi jhanko kumhlaya hua sa hai

    ilhad ka hamla hai 'jawed' har ek jaanib

    'alam ka ye 'alam hai paglaya hua sa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now