Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin

Mushafi Ghulam Hamdani

har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    har dam aate haiñ bhare dīda-e-giryāñ tujh bin

    mujh ko ye Dar hai ki laa.eñ na ye tūfāñ tujh bin

    lāla-o-gul taraf kis balā dekhe hai

    ko bhātī nahīñ sair-e-gulistāñ tujh bin

    aa gayā bas-ki ḳhalal maz.hab-o-millat meñ mirī

    na rahā gabr meñ pyāre na musalmāñ tujh bin

    dil gayā diin gayā sabr gayā taab ga.ī

    yuuñ apne to hue saikḌoñ nuqsāñ tujh bin

    na khile ġhuncha-e-tasvīr ke mānind kabhū

    lab-e-ḳhāmosh mire ai gul-e-ḳhandāñ tujh bin

    jab se ai gul gayā bistar-e-āshiq pe tire

    gul-e-bālīñ na hue sumbul-o-raihāñ tujh bin

    sāmne se mirī āñkhoñ ke na maan kahā

    kis ko dekhūñgā maiñ phir ai mah-e-tābāñ tujh bin

    roz dushman bhī is tarah na kaTiyo yā-rab

    maiñ ne jis zulm se kaaTī shab-e-hijrāñ tujh bin

    mah-e-nau shaam ke hote tasavvur meñ tire

    thā khaḌā sar pe liye ḳhanjar-e-uryāñ tujh bin

    aur jo jaatī thī kabhī ḳhosha-e-parvīñ pe nigāh

    vo bhī lagtā thā sanam dasta-e-paikāñ tujh bin

    'mus.hafī' ke gulistāñ meñ kare kyā pyāre

    ki gulistāñ hai use ḳhāna-e-zindāñ tujh bin

    har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin

    mujh ko ye Dar hai ki laen na ye tufan tujh bin

    lala-o-gul ki taraf kis ki bala dekhe hai

    ji ko bhati hi nahin sair-e-gulistan tujh bin

    aa gaya bas-ki KHalal mazhab-o-millat mein meri

    na raha gabr mein pyare na musalman tujh bin

    dil gaya din gaya sabr gaya tab gai

    yun hi apne to hue saikDon nuqsan tujh bin

    na khile ghuncha-e-taswir ke manind kabhu

    lab-e-KHamosh mere ai gul-e-KHandan tujh bin

    jab se ai gul tu gaya bistar-e-ashiq pe tere

    gul-e-baalin na hue sumbul-o-raihan tujh bin

    samne se meri aankhon ke na ja man kaha

    kis ko dekhunga main phir ai mah-e-taban tujh bin

    roz dushman ka bhi is tarah na kaTiyo ya-rab

    main ne jis zulm se kaTi shab-e-hijran tujh bin

    mah-e-nau sham ke hote hi tasawwur mein tere

    tha khaDa sar pe liye KHanjar-e-uryan tujh bin

    aur jo jati thi kabhi KHosha-e-parwin pe nigah

    wo bhi lagta tha sanam dasta-e-paikan tujh bin

    'mushafi' ja ke gulistan mein kare kya pyare

    ki gulistan hai use KHana-e-zindan tujh bin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now