Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek aan wo humse juda sa kuchh to hai

Ahmed Sohail

har ek aan wo humse juda sa kuchh to hai

Ahmed Sohail

MORE BYAhmed Sohail

    har ek aan vo ham se judā kuchh to hai

    hamārī zaat ke andar ḳhudā kuchh to hai

    vo kyā hai kuchh bhī nahīñ ik zarā kuchh to hai

    kabhī duā to kabhī badduā kuchh to hai

    lahū hai barf hai raqs-e-sharar hai kyā hai ye

    ye jism-o-jāñ meñ pighaltā huā kuchh to hai

    samajh sakā na koī ab talak ki vo kyā hai

    vo ā.īna na sahī ā.īna kuchh to hai

    tamām rañg vo mausam uḌā gayā lekin

    kahīñ to shāḳh pe ab tak harā kuchh to hai

    har ek aan wo hum se juda sa kuchh to hai

    hamari zat ke andar KHuda sa kuchh to hai

    wo kya hai kuchh bhi nahin ek zara sa kuchh to hai

    kabhi dua to kabhi baddua sa kuchh to hai

    lahu hai barf hai raqs-e-sharar hai kya hai ye

    ye jism-o-jaan mein pighalta hua sa kuchh to hai

    samajh saka na koi ab talak ki wo kya hai

    wo aaina na sahi aaina sa kuchh to hai

    tamam rang wo mausam uDa gaya lekin

    kahin to shaKH pe ab tak hara sa kuchh to hai

    Source:

    Shayar (Pg. 1098)

      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now