Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho

Iftikhar Ahmad Alvi Kakori

har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho

Iftikhar Ahmad Alvi Kakori

MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori

    har ek baat pe kahte ho marhabā na kaho

    kaho to phir ġham-e-dil ye mājrā na kaho

    majāz husn-e-haqīqat hai barmalā na kaho

    magar ye raaz sadāqat se māvarā na kaho

    hasīn shakl ke insāñ ko rahnumā na kaho

    vo nā-ḳhudā-e-sitam hai use ḳhudā na kaho

    suḳhan-shanās jo tum ho to barmalā na kaho

    ġhazal ke sher ko iz.hār-e-mudda’ā na kaho

    misāl-e-tūr abhī ḳhvāb hoñge chaknā-chūr

    dil-o-nigāh meñ kyā kuchh hai fāsla na kaho

    sarāb haqīqat hai us meñ poshīda

    chamakne vaalī har ik shai ko aa.ina na kaho

    baġhair lutf kahāñ ġham yūrisheñ paiham

    'atā-e-dost kaho is ko tum jafā na kaho

    vo āgahī manāzil unheñ nasīb kahāñ

    janāb-e-shaiḳh ko rindo magar burā na kaho

    sukūñ-navāz talattuf 'ilāj hai is

    junūn-e-ishq ko ik marz-e-lā-davā na kaho

    sharīk-e-hāl yahāñ kaun kis hotā hai

    musībatoñ har ik se ye vāqi.a na kaho

    ba-chashm-e-ḳhās vo maa.il idhar to haiñ lekin

    ye ibtidā.ī marāhil haiñ intihā na kaho

    ba-hosh-bāsh ki hai pās-e-ehtiyāt yahī

    ġhamoñ pe aah masarrat pe vāh-vā na kaho

    ye muskurāhaTeñ 'alavī' tanziya haiñ nadīm

    tabāhiyoñ huā ḳhatm silsila na kaho

    har ek baat pe kahte ho marhaba na kaho

    kaho to phir gham-e-dil ka ye majra na kaho

    majaz husn-e-haqiqat hai barmala na kaho

    magar ye raaz sadaqat se mawara na kaho

    hasin shakl ke insan ko rahnuma na kaho

    wo na-KHuda-e-sitam hai use KHuda na kaho

    suKHan-shanas jo tum ho to barmala na kaho

    ghazal ke sher ko izhaar-e-mudda’a na kaho

    misal-e-tur abhi KHwab honge chakna-chur

    dil-o-nigah mein kya kuchh hai fasla na kaho

    sarab ki si haqiqat hai us mein poshida

    chamakne wali har ek shai ko aaina na kaho

    baghair lutf kahan gham ki yurishen paiham

    'ata-e-dost kaho is ko tum jafa na kaho

    wo aagahi ki manazil unhen nasib kahan

    janab-e-shaiKH ko rindo magar bura na kaho

    sukun-nawaz talattuf 'ilaj hai is ka

    junun-e-ishq ko ek marz-e-la-dawa na kaho

    sharik-e-haal yahan kaun kis ka hota hai

    musibaton ka har ek se ye waqia na kaho

    ba-chashm-e-KHas wo mail idhar to hain lekin

    ye ibtidai marahil hain intiha na kaho

    ba-hosh-bash ki hai pas-e-ehtiyat yahi

    ghamon pe aah masarrat pe wah-wa na kaho

    ye muskurahaTen 'alawi' ki tanziya hain nadim

    tabahiyon ka hua KHatm silsila na kaho

    Source:

    Beesvin Sadi Ke Shora-e-Dehli (Pg. 205)

      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now