har ek baat pe talqin kar raha tha main
har ek baat pe talqīn kar rahā thā maiñ
kisī ke sabr kī tauhīn kar rahā thā maiñ
isī liye ki tirā ġham ubhar na aa.e kahīñ
udaas chehre kī taz.īn kar rahā thā maiñ
sazā bhī dene meñ vo kyoñ koī kamī kartā
ḳhatā bhī to baḌī sangīn kar rahā thā maiñ
kisī kī yaad ġhazal cigaretteñ dhuāñ yā'nī
hasīn shaam ko ġhamgīn kar rahā thā maiñ
samajh rahe the sabhī is ko shaḳhsiyat merī
tumhāre 'ishq kī tazmīn kar rahā thā maiñ
har ek baat pe talqin kar raha tha main
kisi ke sabr ki tauhin kar raha tha main
isi liye ki tera gham ubhar na aae kahin
udas chehre ki tazin kar raha tha main
saza bhi dene mein wo kyon koi kami karta
KHata bhi to baDi sangin kar raha tha main
kisi ki yaad ghazal cigaretten dhuan ya'ni
hasin sham ko ghamgin kar raha tha main
samajh rahe the sabhi is ko shaKHsiyat meri
tumhaare 'ishq ki tazmin kar raha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.