Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek chehre pe dil ko guman us ka tha

Tajdar Adil

har ek chehre pe dil ko guman us ka tha

Tajdar Adil

MORE BYTajdar Adil

    har ek chehre pe dil ko gumān us thā

    basā na koī ye ḳhālī makān us thā

    bahut dinoñ se mujhe yaad bhī nahīñ aatā

    tamām-umr mujh ko dhiyān us thā

    maiñ be-jahat rahā aur be-maqām vo

    sitāra merā samundar-nishān us thā

    maiñ us tilism se bāhar kahāñ talak jaatā

    fazā khulī thī magar āsmān us thā

    phir us ke ba.ad koī baat bhī zarūrī na thī

    mire ḳhilāf sahī vo bayān us thā

    tamām dukh mirī āñkhoñ meñ bujh ga.e lekin

    jo dhīre dhīre jalā thā nishān us thā

    mohabbatoñ kahānī meñ kaun shāmil hai

    mujhe to bārhā ḳhud par gumān us thā

    havā ne ab ke jalā.e charāġh raste meñ

    ki merī raah meñ 'ādil' makān us thā

    har ek chehre pe dil ko guman us ka tha

    basa na koi ye KHali makan us ka tha

    bahut dinon se mujhe yaad bhi nahin aata

    tamam-umr hi mujh ko dhiyan us ka tha

    main be-jahat hi raha aur be-maqam sa wo

    sitara mera samundar-nishan us ka tha

    main us tilism se bahar kahan talak jata

    faza khuli thi magar aasman us ka tha

    phir us ke baad koi baat bhi zaruri na thi

    mere KHilaf sahi wo bayan us ka tha

    tamam dukh meri aankhon mein bujh gae lekin

    jo dhire dhire jala tha nishan us ka tha

    mohabbaton ki kahani mein kaun shamil hai

    mujhe to barha KHud par guman us ka tha

    hawa ne ab ke jalae charagh raste mein

    ki meri rah mein 'adil' makan us ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now