Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili

Indr Mohan Mehta Kaif

har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili

Indr Mohan Mehta Kaif

MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif

    har ek daur meñ insāñ būd-o-bāsh milī

    kisī zamīñ ko bhī khodā to merī laash milī

    maiñ man-ghaḌant ḳhudāoñ ko pūjtā rahā

    mujhe azal se nigāh-e-sanam-tarāsh milī

    vo maiñ huuñ tum ho koī aur hai khule kaise

    salīb-e-vaqt pe be-sar ek laash milī

    ham apne apne safar meñ gum rahe donoñ

    ye aur baat use manzil mujhe talāsh milī

    na jaane 'kaif' ye kis aarzū pe zinda hai

    hameñ to jab bhī milī zindagī nirāsh milī

    har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili

    kisi zamin ko bhi khoda to meri lash mili

    main man-ghaDant KHudaon ko pujta hi raha

    mujhe azal se nigah-e-sanam-tarash mili

    wo main hun tum ho koi aur hai khule kaise

    salib-e-waqt pe be-sar ki ek lash mili

    hum apne apne safar mein hi gum rahe donon

    ye aur baat use manzil mujhe talash mili

    na jaane 'kaif' ye kis aarzu pe zinda hai

    hamein to jab bhi mili zindagi nirash mili

    Source:

    Dosrey Din Ka Suraj (Pg. 79)

    • Author: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Publisher: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now