har ek gham ko tere gham se joD dete hain
har ek ġham ko tire ġham se joḌ dete haiñ
ham apnī shab meñ ujāle nichoḌ dete haiñ
tumhāre ‘āriz-e-gulgūñ se khelne vaale
shafaq kī surḳh kalā.ī maroḌ dete haiñ
ham ek dil ko jo patthar thā mom kar ke rahe
tumhāre ġham meñ usūloñ ko toḌ dete haiñ
bachā sakā na tamāzat se koī bhī un ko
jo saa.e apne daraḳhtoñ ko chhoḌ dete haiñ
koī hamārī tarah shām-e-ġham jale to sahī
'sirāj' jaan to sad.hā karoḌ dete haiñ
har ek gham ko tere gham se joD dete hain
hum apni shab mein ujale nichoD dete hain
tumhaare ‘ariz-e-gulgun se khelne wale
shafaq ki surKH kalai maroD dete hain
hum ek dil ko jo patthar tha mom kar ke rahe
tumhaare gham mein usulon ko toD dete hain
bacha saka na tamazat se koi bhi un ko
jo sae apne daraKHton ko chhoD dete hain
koi hamari tarah sham-e-gham jale to sahi
'siraj' jaan to sadha karoD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.