Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek jaanib hai raqs karti ajib si chup

Farah iqbal

har ek jaanib hai raqs karti ajib si chup

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    har ek jānib hai raqs kartī 'ajīb chup

    ye dil ke āñgan meñ nauha likhtī 'ajīb chup

    rah-e-vafā meñ jahāñ pe bhaTkā thā ik musāfir

    vahīñ kahīñ pe hai haath maltī 'ajīb chup

    hai kuchh sadāoñ pīchhā kartī mirī samā'at

    aur ik ḳhamoshī se mujh ko taktī 'ajīb chup

    vo merī palkoñ ke saa.e saa.e vafā beleñ

    aur un se ḳhvāboñ ke phuul chuntī 'ajīb chup

    ufuq pe yādoñ ke zard āñchal meñ lipTā sūraj

    aur us pe shāmoñ ke saath Dhaltī 'ajīb chup

    vo pichhle mausam haath thāme hasīn manzar

    vo agle mausam meñ us se laḌtī 'ajīb chup

    vo ḳhush-gumānī koñpaloñ par khilī tamannā

    aur us ke haq meñ du'ā.eñ kartī 'ajīb chup

    vo sard rātoñ meñ āñsuon ke charāġh raushan

    aur un charāġhoñ lau meñ jaltī 'ajīb chup

    vo ḳhvāhishoñ ke badan se uThtī sunahrī ḳhushbū

    vo dil ke mausam meñ chhup ke rotī 'ajīb chup

    har ek jaanib hai raqs karti 'ajib si chup

    ye dil ke aangan mein nauha likhti 'ajib si chup

    rah-e-wafa mein jahan pe bhaTka tha ek musafir

    wahin kahin pe hai hath malti 'ajib si chup

    hai kuchh sadaon ka pichha karti meri sama'at

    aur ek KHamoshi se mujh ko takti 'ajib si chup

    wo meri palkon ke sae sae wafa ki belen

    aur un se KHwabon ke phul chunti 'ajib si chup

    ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipTa suraj

    aur us pe shamon ke sath Dhalti 'ajib si chup

    wo pichhle mausam ka hath thame hasin manzar

    wo agle mausam mein us se laDti 'ajib si chup

    wo KHush-gumani ki konpalon par khili tamanna

    aur us ke haq mein du'aen karti 'ajib si chup

    wo sard raaton mein aansuon ke charagh raushan

    aur un charaghon ki lau mein jalti 'ajib si chup

    wo KHwahishon ke badan se uThti sunahri KHushbu

    wo dil ke mausam mein chhup ke roti 'ajib si chup

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now