aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah

Arshad Kamal

har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah

Arshad Kamal

MORE BYArshad Kamal

    har ek lamha-e-ġham bahr-e-be-karāñ tarah

    kisī dhyān hai aise meñ bādbāñ tarah

    nasīm-e-sub.h ye kahtī hai kitnī hasrat se

    koī to baaġh meñ mil jaa.e bāġhbāñ tarah

    hai vo tapish tire palkoñ ke shāmiyāne meñ

    ki ab to dhuup bhī lagtī hai sā.ebāñ tarah

    har ek moḌ pe milte haiñ ham-ḳhayāl magar

    kahīñ to koī mile mujh ko ham-zabāñ tarah

    fareb-e-chashm hai yaaro ki ik haqīqat hai

    samāñ jo shahr hai shahr ke samāñ tarah

    havā-e-zīst ko aanā hai jab tak aa.egī

    bahār ban ke kabhī to kabhī ḳhizāñ tarah

    har ek lafz nikaltā hai misl-e-tīr-e-navā

    zabān-e-yār hai 'arshad' kisī kamāñ tarah

    har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah

    kisi ka dhyan hai aise mein baadban ki tarah

    nasim-e-subh ye kahti hai kitni hasrat se

    koi to bagh mein mil jae baghban ki tarah

    hai wo tapish tere palkon ke shamiyane mein

    ki ab to dhup bhi lagti hai saeban ki tarah

    har ek moD pe milte hain ham-KHayal magar

    kahin to koi mile mujh ko ham-zaban ki tarah

    fareb-e-chashm hai yaro ki ek haqiqat hai

    saman jo shahr ka hai shahr ke saman ki tarah

    hawa-e-zist ko aana hai jab tak aaegi

    bahaar ban ke kabhi to kabhi KHizan ki tarah

    har ek lafz nikalta hai misl-e-tir-e-nawa

    zaban-e-yar hai 'arshad' kisi kaman ki tarah

    RECITATIONS

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah Arshad Kamal

    Arshad Kamal

    har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah Arshad Kamal

    Source:

    Dhoop ke Paudey (Pg. 107)

    • Author: Arshad Kamal
      • Edition: 2008
      • Publisher: Arshad Kamal
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now