Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek lamha-e-maujud intizar mein tha

Saud Usmani

har ek lamha-e-maujud intizar mein tha

Saud Usmani

MORE BYSaud Usmani

    har ek lamha-e-maujūd intizār meñ thā

    maiñ agle pal tarah vaqt ke ġhubār meñ thā

    har ik ufuq pe musalsal tulūa hotā huā

    maiñ āftāb ke mānind rahguzār meñ thā

    ḳhud apne aap meñ uljhā huā thā merā vajūd

    maiñ chaak chaak garebāñ ke taar taar meñ thā

    jo us ḳhush-suḳhanī tak rasā.ī chāhtī thī

    mirā vajūd bhī lafzoñ is qatār meñ thā

    bil-āḳhir aa ga.ī iḳhtilāf saa.at

    maiñ jāntā huuñ is pal ke intizār meñ thā

    har ek lamha-e-maujud intizar mein tha

    main agle pal ki tarah waqt ke ghubar mein tha

    har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua

    main aaftab ke manind rahguzar mein tha

    KHud apne aap mein uljha hua tha mera wajud

    main chaak chaak gareban ke tar tar mein tha

    jo us ki KHush-suKHani tak rasai chahti thi

    mera wajud bhi lafzon ki is qatar mein tha

    bil-aKHir aa hi gai iKHtilaf ki saat

    main jaanta hun tu is pal ke intizar mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now