Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin

Sajid Rizwi

har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin

Sajid Rizwi

MORE BYSajid Rizwi

    har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisā khel nahīñ

    jalve nazāra khel bhī hai jalve nazārā khel nahīñ

    ik umr guloñ ke saa.e meñ guzrī to samajh meñ baat aa.ī

    gulshan fazā meñ kāñToñ se dāman bachānā khel nahīñ

    ishq ke ġham ko ai vaa.iz apnā ġham-e-isyāñ samjhā hai

    ye terī samajh se bāhar hai is ġham samajhnā khel nahīñ

    ye kaam baḌī jur.at hai ye baat baḌī himmat hai

    ḳhud apnā nasheman apne hāthoñ se jalānā khel nahīñ

    kuchh dil hamārā vāqif hai jo ham pe musībat paḌtī hai

    māhaul-e-muḳhālif meñ rah kar haq apnā jatānā khel nahīñ

    jis vaqt nigāheñ un se milīñ kuchh kahte sunte ban na paḌī

    ehsās-e-tamannā āsāñ hai tafsīr-e-tamanna khel nahīñ

    ai dost hamārī tarah zarā himmat zarūrat hotī hai

    maiḳhāne meñ baḌh kar saaqī se nazroñ milānā khel nahīñ

    duniyā pe kabhī ham hañste the ab ham pe ye duniyā hañstī hai

    auroñ tamāsha khel sahī ḳhud apnā tamāsha khel nahīñ

    kuchh sar yahāñ taḳhsīs nahīñ hai dil zarūrat 'sājid' ko

    sajde to manzil aur hai kuchh sajde irāda khel nahīñ

    har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin

    jalwe ka nazara khel bhi hai jalwe ka nazara khel nahin

    ek umr gulon ke sae mein guzri to samajh mein baat aai

    gulshan ki faza mein kanTon se daman ka bachana khel nahin

    tu ishq ke gham ko ai waiz apna gham-e-isyan samjha hai

    ye teri samajh se bahar hai is gham ka samajhna khel nahin

    ye kaam baDi jurat ka hai ye baat baDi himmat ki hai

    KHud apna nasheman apne hi hathon se jalana khel nahin

    kuchh dil hi hamara waqif hai jo hum pe musibat paDti hai

    mahaul-e-muKHalif mein rah kar haq apna jatana khel nahin

    jis waqt nigahen un se milin kuchh kahte sunte ban na paDi

    ehsas-e-tamanna aasan hai tafsir-e-tamanna khel nahin

    ai dost hamari tarah zara himmat ki zarurat hoti hai

    maiKHane mein baDh kar saqi se nazron ka milana khel nahin

    duniya pe kabhi hum hanste the ab hum pe ye duniya hansti hai

    auron ka tamasha khel sahi KHud apna tamasha khel nahin

    kuchh sar ki yahan taKHsis nahin hai dil ki zarurat 'sajid' ko

    sajde ki to manzil aur hai kuchh sajde ka irada khel nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now