har ek sans mein aahang-e-agahi suniye
har ek saañs meñ āhang-e-āgahī suniye
ki dekhiye koī har dam hameñ pukārtā hai
chaḌhā ke chaak pe miTTī hamārī dast-e-shafīq
ba-sūrat-ā.ina 'aks-e-nihāñ ubhārtā hai
use to yaad nahīñ shakl bhī koī apnī
vo bār-bār hamārī hī shakl dhārtā hai
abhī khilā bhī nahīñ Thiik se vo ġhuncha-e-ḳhvāb
hameñ tū niiñd kī shāḳhoñ se kyoñ utārtā hai
har ek sans mein aahang-e-agahi suniye
ki dekhiye koi har dam hamein pukarta hai
chaDha ke chaak pe miTTi hamari dast-e-shafiq
ba-surat-aina 'aks-e-nihan ubhaarta hai
use to yaad nahin shakl bhi koi apni
wo bar-bar hamari hi shakl dhaarta hai
abhi khila bhi nahin Thik se wo ghuncha-e-KHwab
hamein tu nind ki shaKHon se kyon utarta hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 103)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.