Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai

Raj Kheti

har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai

Raj Kheti

MORE BYRaj Kheti

    har ek saañs meñ kuchh dard dard lagtā hai

    mirā vajūd ab gard gard lagtā hai

    tumhāre qurb meñ garmī bahut ġhazab thī

    havā haath magar sard sard lagtā hai

    na jaane aa.ī kahāñ se bhikāriyoñ ye bhiiḌ

    gadāgar aaj mujhe fard fard lagtā hai

    usī meñ dekhī thī tasvīr-e-kā.enāt kabhī

    vo ā.īna ki jo ab gard gard lagtā hai

    vo ek ham the ki samjhā harīf ko bhī halīf

    fareb-kār tumheñ fard fard lagtā hai

    kisī ke hoñToñ surḳhī ko kyā huā hai 'raaj

    ġhazal chehra bhī kuchh zard zard lagtā hai

    har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai

    mera wajud hi ab gard gard lagta hai

    tumhaare qurb mein garmi bahut ghazab ki thi

    hawa ka hath magar sard sard lagta hai

    na jaane aai kahan se bhikariyon ki ye bhiD

    gadagar aaj mujhe fard fard lagta hai

    usi mein dekhi thi taswir-e-kaenat kabhi

    wo aaina ki jo ab gard gard lagta hai

    wo ek hum the ki samjha harif ko bhi halif

    fareb-kar tumhein fard fard lagta hai

    kisi ke honTon ki surKHi ko kya hua hai 'raj

    ghazal ka chehra bhi kuchh zard zard lagta hai

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 91)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now