Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek samt hai ek jit haar ka mausam

Azhar Ghauri Nadwi

har ek samt hai ek jit haar ka mausam

Azhar Ghauri Nadwi

MORE BYAzhar Ghauri Nadwi

    har ek samt hai ik jiit haar mausam

    ab ek ḳhvāb lagtā hai pyaar mausam

    isī ko gardish-e-lail-o-nahār kahte haiñ

    kabhī ḳhizāñ hai kabhī hai bahār mausam

    chaman meñ dhuum machī hai ki fasl-e-gul aa.ī

    yahī hai dāman-e-sad-tār-tār mausam

    ab us ko yaad dilāne fā.eda nahīñ

    vo bhuul bhī chukā qaul-o-qarār mausam

    har ik shikast pe josh-e-amal meñ shiddat

    miTegā dīda-e-ḳhūnāba-bār mausam

    na aane de kabhī pā-e-sabāt meñ laġhzish

    sadā milā hai kise iḳhtiyār mausam

    rihā.ī miltī hai yaaro na jaan jaatī hai

    azāb-e-jān hai ye intizār mausam

    darāz kitnī shab ho guzar jā.egī

    palaT ke aa.egā dīdār-e-yār mausam

    jo lauh-e-dil pe lagāne chale ho daaġh pe daaġh

    kabhī to aa.egā un ke shumār mausam

    hai ab ye haal urūs-ul-bilād 'az.har'

    Thahar gayā hai vahīñ gīr-o-dār mausam

    har ek samt hai ek jit haar ka mausam

    ab ek KHwab sa lagta hai pyar ka mausam

    isi ko gardish-e-lail-o-nahaar kahte hain

    kabhi KHizan hai kabhi hai bahaar ka mausam

    chaman mein dhum machi hai ki fasl-e-gul aai

    yahi hai daman-e-sad-tar-tar ka mausam

    ab us ko yaad dilane ka faeda hi nahin

    wo bhul bhi chuka qaul-o-qarar ka mausam

    har ek shikast pe josh-e-amal mein shiddat la

    miTega dida-e-KHunaba-bar ka mausam

    na aane de kabhi pa-e-sabaat mein laghzish

    sada mila hai kise iKHtiyar ka mausam

    rihai milti hai yaro na jaan jati hai

    azab-e-jaan hai ye intizar ka mausam

    daraaz kitni hi shab ho guzar hi jaegi

    palaT ke aaega didar-e-yar ka mausam

    jo lauh-e-dil pe lagane chale ho dagh pe dagh

    kabhi to aaega un ke shumar ka mausam

    hai ab ye haal urus-ul-bilad ka 'azhar'

    Thahar gaya hai wahin gir-o-dar ka mausam

    Source:

    Khar-o-Gul (Pg. 74)

    • Author: Azhar Ghauri Nadwi
      • Publisher: Azhar Ghauri Nadwi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now