Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek samt udasi ki titliyan jagin

Naz Qadri

har ek samt udasi ki titliyan jagin

Naz Qadri

MORE BYNaz Qadri

    har ek samt udāsī titliyāñ jāgīñ

    tulū-e-shām se pahle siyāhiyāñ jāgīñ

    safar meñ dhuup lazzat pas-e-ġhubār huī

    ghane daraḳhtoñ ke saa.e meñ garmiyāñ jāgīñ

    dayār-e-dil meñ sadāoñ ā.īna TuuTā

    navāh-e-jāñ meñ ta.alluq kirchiyāñ jāgīñ

    kahāñ kahāñ nahīñ ham ne raat bhar dastak

    na koī baab chauñkā na khiḌkiyāñ jāgīñ

    diloñ ke biich to haa.il thā barf mausam

    na jism sulge na ḳhvāhish garmiyāñ jāgīñ

    lahū meñ lams ke sho.ale buland hone lage

    badan meñ qurb pur-shor āñdhiyāñ jāgīñ

    kisī se kam na huā 'nāz' fāsla ġham

    ki log jitnā chale utnī dūriyāñ jāgīñ

    har ek samt udasi ki titliyan jagin

    tulu-e-sham se pahle siyahiyan jagin

    safar mein dhup ki lazzat pas-e-ghubar hui

    ghane daraKHton ke sae mein garmiyan jagin

    dayar-e-dil mein sadaon ka aaina TuTa

    nawah-e-jaan mein talluq ki kirchiyan jagin

    kahan kahan nahin di hum ne raat bhar dastak

    na koi bab hi chaunka na khiDkiyan jagin

    dilon ke bich to hail tha barf ka mausam

    na jism sulge na KHwahish ki garmiyan jagin

    lahu mein lams ke shoale buland hone lage

    badan mein qurb ki pur-shor aandhiyan jagin

    kisi se kam na hua 'naz' fasla gham ka

    ki log jitna chale utni duriyan jagin

    Source:

    Sahra Mein Ek Boond (Pg. 80)

    • Author: Naz Quadri
      • Edition: 2011
      • Publisher: Maktaba Sadaf, Muzaffarpur
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now