Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek shaKHs KHafa mujhse anjuman mein tha

Nau Bahar Sabir

har ek shaKHs KHafa mujhse anjuman mein tha

Nau Bahar Sabir

MORE BYNau Bahar Sabir

    har ek shaḳhs ḳhafā mujh se anjuman meñ thā

    ki mere lab pe vahī thā jo mere man meñ thā

    kasak uThī thī kuchh aisī ki chīḳh chīḳh paḌūñ

    rahā maiñ chup ki bahroñ anjuman meñ thā

    ulajh ke rah ga.ī jaame dilkashī meñ nazar

    use kisī ne na dekhā jo pairahan meñ thā

    kabhī maiñ dasht meñ āvāra ik bagūlā

    kabhī maiñ nik.hat-e-gul tarah chaman meñ thā

    maiñ us ko qatl na kartā to ḳhud-kushī kartā

    vo ik harīf sūrat mire badan meñ thā

    usī ko mere shab-o-roz par muhīt na kar

    vo ek lamha-e-kamzor jo gahan meñ thā

    mirī sadā bhī na mujh ko sunā.ī 'sābir'

    kuchh aisā shor bapā sahn-e-anjuman meñ thā

    har ek shaKHs KHafa mujh se anjuman mein tha

    ki mere lab pe wahi tha jo mere man mein tha

    kasak uThi thi kuchh aisi ki chiKH chiKH paDun

    raha main chup hi ki bahron ki anjuman mein tha

    ulajh ke rah gai jame ki dilkashi mein nazar

    use kisi ne na dekha jo pairahan mein tha

    kabhi main dasht mein aawara ek bagula sa

    kabhi main nikhat-e-gul ki tarah chaman mein tha

    main us ko qatl na karta to KHud-kushi karta

    wo ek harif ki surat mere badan mein tha

    usi ko mere shab-o-roz par muhit na kar

    wo ek lamha-e-kamzor jo gahan mein tha

    meri sada bhi na mujh ko sunai di 'sabir'

    kuchh aisa shor bapa sahn-e-anjuman mein tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 523)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now