Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

Salahuddin Nayyar

har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

Salahuddin Nayyar

MORE BYSalahuddin Nayyar

    har ek zarra bār-e-amānat se Dar gayā

    ik maiñ thā ki tere muqābil Thahar gayā

    har chiiz jal ga.ī thī ba-juz chashm-e-intizār

    auroñ ke ghar bujhā ke jo maiñ apne ghar gayā

    is daur-e-intishār ye bhī hai hādisa

    tahzīb zinda rah ga.ī insān mar gayā

    vo bhī kabhī thā apne qabīle aadmī

    kal terī anjuman se jo bā-chashm-e-tar gayā

    tum muskurā ke ek taraf ho ga.e magar

    ilzām saarā zulf-e-pareshāñ ke sar gayā

    ab tak bhī jis ko paane 'nayyar' hai aarzū

    vo lamha-e-azīz na jaane kidhar gayā

    har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

    ek main hi tha ki tere muqabil Thahar gaya

    har chiz jal gai thi ba-juz chashm-e-intizar

    auron ke ghar bujha ke jo main apne ghar gaya

    is daur-e-intishaar ka ye bhi hai hadisa

    tahzib zinda rah gai insan mar gaya

    wo bhi kabhi tha apne qabile ka aadmi

    kal teri anjuman se jo ba-chashm-e-tar gaya

    tum muskura ke ek taraf ho gae magar

    ilzam sara zulf-e-pareshan ke sar gaya

    ab tak bhi jis ko pane ki 'nayyar' hai aarzu

    wo lamha-e-aziz na jaane kidhar gaya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 438)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now