Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gam zindagi mein ajab sanehe hue

Bilqees Khan

har gam zindagi mein ajab sanehe hue

Bilqees Khan

MORE BYBilqees Khan

    har gaam zindagī meñ 'ajab sānehe hue

    apne parā.e jāñchne ke tajrabe hue

    ik Diary purānī mire haath kyā lagī

    yādoñ ke zard peḌ yakāyak hare hue

    ai dil sañbhāl zabt ki pushte laraz uThe

    añkhoñ se bah na jaa.eñ ye dariyā ruke hue

    āñkhoñ meñ dekh shahr-e-ḳhamoshāñ sukūt

    palkoñ pe dekh ġham ke fasāne likhe hue

    'bilqīs' ik charāġh sar-e-rāh kyā rakhā

    bastī ke har makān meñ tabsire hue

    har gam zindagi mein 'ajab sanehe hue

    apne parae jaanchne ke tajrabe hue

    ek Diary purani mere hath kya lagi

    yaadon ke zard peD yakayak hare hue

    ai dil sanbhaal zabt ki pushte laraz uThe

    ankhon se bah na jaen ye dariya ruke hue

    aankhon mein dekh shahr-e-KHamoshan ka sa sukut

    palkon pe dekh gham ke fasane likhe hue

    'bilqis' ek charagh sar-e-rah kya rakha

    basti ke har makan hi mein tabsire hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now